name:-Bhola In Bollywood (2004)
Singer :-Sonu Nigam
Lyricist:-Info NA
Music By:-Info NA
hamne dekhi dunia dekha sara jamana
hamne dekhi dunia dekha sara jamana
jo hai hamne dekha tumko bhi hai sunana
jo hai hamne dekha tumko bhi hai sunana
do cheezo ne bana ke rakha dunia ko diwana
hindustani khana hindustani gana
hindustani khana hindustani gana
yug yug ki parampara hai jo chalti aaj tak aye
yug yug ki parampara hai jo chalti aaj tak aye
apne ghar se bhukha koi na jane paye
shabri ke ber the juthe par sardha ki wo sachi
shabri ke ber the juthe par sardha ki wo sachi
sudama ki bhi niyat girdhar ko lagi thi achi
bhikshuk ki hoti pariksha bhala aisa kahi hai hota
phadosi jo ho bhukha dil apna bhi hai rota
ye pet se dil ka rasta ye jane har bhayata
na khale jab tak swami nahi khana muh me jata
diwali ki mithayiya idd ki mithi sewayiya
pardesh me desh ke khane kam kar dete hai duriya
bachpan ki yade purani ham sab ki ek kahani
wo ma ke hath ka khana jo laye muh me pani
wo dadi ma ki sigdi sardi me pake jo rabdi
or nani ma ka khilana wo asli ghee me khichdi
wo khet me pina lassi lassi pe malayi moti
sarso ke sag se khana makke di sondhi roti
ye hai ibadat ye hai pooja isko adab se khana
hindustani khana hindustani gana
hindustani khana hindustani gana
lori sunake ma ne ghuti me swar utara
lori sunake ma ne ghuti me swar utara
sangeet ki sangat me jiwan hai hamne gujara
koi khusi ho ya gum sangeet hamesha hardam
koi khusi ho ya gum sangeet hamesha hardam
gardha hai kahi to kahi cham cham bharatnatyam
dulhan ki uthe jab doli ya barj bhumi ki holi
chan chan chanke ghunghru or dhol bajaye dholi
jiwan ke har ek ras me sangeet ne rang hai dala
vardan mila ye hamko murli sune jab radha
hai krishan ki kisme lila meera ki kisme krida
ye bole saki boli hai gor ki isme kavita
galib ki isme gajle wo sant kabir ke dohe
or heer ki sun ke bolo bhala koi kyu na roye
wo gujjaro ki kawalli wo sur wo tal wo tali
tansen ne chalaya pani badi mithi hai gurbani
ajmer ki jaa wo dargah ya sirdi ke sai baba
surtal bahe sab ganga geeto me geet ranga
sare jaha ne ab ye mana india ka hai jamana
hindustani khana hindustani gana
hindustani khana hindustani gana
hindustani khana hindustani gana
hindustani khana hindustani gana
hindustani khana hindustani gana
hindustani khana hindustani gana