Haaye Re Aaj Ki Raina Dhale Na Lyrics

Posted by & filed under , .


Song: Haaye Re Aaj Ki Raina Dhale Na
Movie: Adhoora Aadmi (1982)
Singer(s): Lata Mangeshkar

Hurrr ha ha hurr ha ha, hur ha hur ha hur ha

Hur hu hur hu hur hu hur hu…….

Haay re aa ha ha, haay re aa ha ha
Haay re aaj ki raina dhale na, dhale na, ha aa na, ha aa na – (2)
(Ho jhum jhumake aaye kahaan, baar baar aisa yeh sama
Roj roj kisi ko yahaan aisa hansi mauka mile na) – (2)
Ho haaye re aaj ki raina dhale na, dhale na, ha aa na, ha aa na

Aaj ghani taaron ki chaanv mein, khoyi hu main sapano ke gaanv mein
O o o o o o….
Aaj ghani taaron ki chaanv mein, khoyi hu main sapano ke gaanv mein
Laao koyi paayal, naachu banake paagal jhumu jhumake
Jhum jhumake aaye kahaan, baar baar aisa yeh sama
Roj roj kisi ko yahaan aisa hansi mauka mile na
Ho haaye re aaj ki raina dhale na, dhale na, ha aa na, ha aa na

Pankh chalo kaat de iss raat ke, rang jame aur mulaakaat ke
O o o o o o….
Pankh chalo kaat de iss raat ke, rang jame aur mulaakaat ke
Yeh pal hai suhaane aage raam jaane, jhumu jhumake
Jhum jhumake aaye kahaan, baar baar aisa yeh sama
Roj roj kisi ko yahaan aisa hansi mauka mile na
Ho haaye re aaj ki raina dhale na, dhale na, ha aa na, ha aa na – (2)