In Ankonko Ashiq Sharab Kahdo Lyrics

Posted by & filed under , , , , , .

Album name:-Goraa (1987)
Singer:-Mohammed Aziz, Mahendra Kapoor, Asha Bhosle
Actor:-Rajesh Khanna,
Lyricist:-Varma Malik
Music By:-Sonik Omi

bas yahi tamana hai meri dil rakh du tere hatho me
wo chij hi bani hai lakho me jo nasha hai teri aankho me
in aankho ko aashiq sharab kahe to
in aankho ko aashiq sharab kahe to
tere galo ko khilta gulab kahe to
agar aawara nikama janab kahe to
agar aawara nikama janab kahe to
hum jo aashiq ko khana kharab kahe to
in aankho ko aashiq sharab kahe to

meri rato me tu meri bato me tu
meri nindo me tu meri aankho me tu
meri rato me tu meri bato me tu
meri nindo me tu meri aankho me tu
meri har dhadkan me hai tu hai meri sanso me hai tu
tujhe apni tujhe apni jawani ka khawab kahe to
tujhe apni jawani ka khawab kahe to
tere galo ko khilta gulab kahe to
agar aawara nikama janab kahe to

tere jaise kai hum pe marte rahe
aahe bharte rahe pav padte rahe
tere jaise kai hum pe marte rahe
aahe bharte rahe pav padte rahe
ishq me jalte rahe vo naz hum karte rahe
besharam besharam behaya benakab kahe to
besharam behaya benakab kahe to
hum jo aashiq ko khana kharab kahe to
in aankho ko aashiq sharab kahe to

ishq karo to rab se karo dil ko laga allah se laga
ye to ishq dikhava hai sache ishq se mile khuda
arey sache ishq se mile khuda ek malang kya ishq ko jane
arey ek malang kya ishq ko jane himmat hai to kar ke dikha
majnu ranjhe ya farhad jaisa aashiq banke dikha
malang chavani wala chhatri khol ke dega rang dikha
majnu ranjhe bhul jayegi karegi tauba tauba
arey karegi phir tauba tauba
allah allah karta phirega hey allah allah karta phirega
jab dekhega jalwa mera dal meri aankho me aake
tujhko dungi khuda se mila
khuda se tu milayegi teri aukat hai kya
tu dongi hai pharebi hai teri bhi jat hai kya

agar teri jawani me phkiri rang bhar du mai
ibadadt umar bhar ki ek nazar me band kar du mai
tu jis pe naz karti hai ye do din ki jawani hai
arey bhudhe arey khusat jawani phir jawani hai
mai chaknachur kar dunga na lena mujhse takkar
masalkar phenk dungi mai arey pakad ghamchakar
ye raka shaka dharma karma hai sab mujhse darte
tere ye daku saku sare mera pani bharte
tu itni akad dikhati hai pulis ko mai bulvau
tere sab pulis walo ko ghol ke mai pi jau
mai pal bhar me utarunga jo masti hai chadhi tujhko
bata du kya hu mai moka mila jo do ghadi mujhko
mai is moke se pehle hi mai is moke se pehle hi
laga du hathkadi tujhko laga du hathkadi tujhko
laga du hathkadi tujhko