Jaane Kyun Mujhe Abb Yuun Lage Lyrics

Posted by & filed under , , , .

Song: Jaane Kyun Mujhe Abb Yuun Lage
Movie: Agreement (1980)
Singer(s): Lata Mangeshkar
Music By: Bappi Lahiri
Lyricist(s): Gulshan Bawra

Jaane kyun mujhe abb yuun lage, pyaar ke bina jina bhi hai saja – (2)
O mere saathi mausam hansi hai
Aaja sanam tujhe kasam sun le dil ki sada
Jaane kyun mujhe abb yuun lage, pyaar ke bina jina bhi hai saja

Jaaga jo dard dil mein, bechain ho gaya dil
Tu hi dawa hai dil ki, aise mein pyaar se mil
Yeh dillagi banake rahi dil ki lagi
O mere saathi mausam hansi hai
Aaja sanam tujhe kasam sun le dil ki sada

Tanaha nahi katengi iss jindagi ki raahein
Manjil tab milegi baahon mein jab ho baahein
Jab tak rahe aaja sanam milake chale