Jadugar Jadu Kar Jayega Lyrics

Posted by & filed under , , , .


Song: Jadugar Jadu Kar Jayega
Movie: Alibaba Aur 40 Chor
Singer(s): Kishore Kumar, Asha Bhosle
Music By: R D Burman
Lyricist(s): Anand Bakshi

(Jadugar jadu kar jayega, kisi ko samajh nahee ayega
O marjina nach hasina mushkil kar de sab kaa jina
Nahee toh nahee toh) – (2)
Jadugar jadu kar jayega, kisi ko samajh nahee ayega

Nachegi teri jawani, dekhegi dooniya diwani
Har chiz hai mere bas me, kya aag hai kya hai pani
O nachegi teri jawani, dekhegi dooniya diwani
Har chiz hai mere bas me, kya aag hai kya hai pani
Arre chhu mantar chhu dekh idhar too, pahan le inako le yeh ghunghroo
Warna gajab ho jayega
Aaye jadugar jagu kar jayega, kisi ko samajh nahee ayega

(Mana tujhe maine mana, too jadugar hai diwana
Bebas mujhe kar diya yun, thehra hai sara jamana aah) – (2)
Bebas had kar dee o bedardi, batla kya hai teri marzi
Kab tak mujhe tadapayega oooo………..

Aaye jadugar jadu kar jayega, kisi ko samajh nahee ayega

(Kismat kaa chamka sitara, too ne mujhe jab pukara
Chup chap too nachti ja, jab tak karu mai ishara) – (2)

O tere kadmo me yeh sar hai, too hai toh phir kis kaa dar hai
Jo hoga dekha jayega oooo
Aaye jadugar jadu kar jayega, togethekisi ko samajh nahee ayega
O marjina nach hasina, mushkil kar de sab kaa jina
Nahee toh, nahee toh
Aaye jadugar jadu kar jayega, kisi ko samajh nahee ayega