Jana, Jindagi Se Na Jana Lyrics

Posted by & filed under .


Song: Jana, Jindagi Se Na Jana
Movie: Aapka Abhijeet Sawant (Non-Film)
Singer(s): Abhijeet Sawant, Prajakta Shukre
Music By: Biddu, Hardip Sidhu, Prempal Hans, Raju Singh
Lyricist(s): Sameer
Translation: Available

Jana, jindagi se na jana, pyar ka ye khajana lut na jaye kahi
Jana ham rahenge tumhare, hain jab tak sitare, hain jab tak jami

Duniya sari dekar le lu main ek tera pyar, ye pyar
Sathi ho jo tere jaisa kya karna sansar, sansar
Jami hain kya jo tu kahe, main chand pe tere sath chalu
O o o… jana, zindagi se na jana, pyar ka ye khajana lut na jaye kahi
Jana ham rahenge tumhare, hain jab tak sitare, hain jab tak jami

Mere jeewan main tere geeto ki jhankar, jhankar
Tere sang main angaro par chalne ko taiyar, taiyar
Tum dur ho hajar ghum, tum pass ho toh mujhe hai khushi
O o o… jana, zindagi se na jana, pyar ka ye khajana lut na jaye kahi
Jana ham rahenge tumhare, hain jab tak sitare, hain jab tak jami

Jana, ho o o jana………. jana…..