Jhanda Uncha Rahe Hamara Lyrics

Posted by & filed under , , , .

Album name:-Farishtay (1991)
Singer :Shabbir Kumar
Actor:-Rajinikanth, Sridevi, Swapna
Lyricist:-Shyamlal Gupta Parshad
Music By:- Bappi Lahiri

vijayi vishw tiranga pyara
jhanda uncha rahe hamara

sada shakti sarsane wala
prem sudha barsane wala
viro ko harshane wala
matrbhumi ka tan-man sara
jhanda uncha rahe�

swatantrta ke bhishan ran me
rakh kar josh badhe kshan kshan me
kanpe shatru dekh kar man me
mit jawe bhay sankat sara
jhanda uncha rahe�

is jhande ke niche nirbhay
ho swaraj janta ka nishchay
bolo bharat mata ki jay
swatantrta hi dhyey hamara
jhanda uncha rahe�

shan na is ki jane paye
chahe jan bhale hi jaye
vishw vijay kar ke dikhalaye
tab howe pran purn hamara
jhanda uncha rahe�