Song: Jiyo Toh Aise Jiyo
Movie: Bahu Beti
Singer(s): Mohammad Rafi
Music By: Ravi
Lyricist(s): Sahir Ludhianvi
Jiyo toh aise jiyo jaise sab tumhara hai
Maro toh aise ki jaise tumhara kuchh bhi nahi
Yeh ek raj hai ki dooniya naa jisko jan saki
Yahi woh raj jo jindagi se hasil hai
Tumhi kaho yeh raj tumhe kaise samajhau
Ke jindagi ki ghutan jindagi ki katil hai
Har ek nigah ko yeh kudrat kaa ishara hai
Jiyo toh aise jiyo
Jaha me aa ke jaha se khinche khinche naa raho
Woh jindagi hi nahi jisme aas bujh jaye
Koyi bhi pyas dabaye se dab nahi sakati
Isi se chain milega ki pyas bujh jaye
Yeh kehke mudata huwa jindagi kaa dhara hai
Jiyo toh aise jiyo
Yeh aasman, yeh jamin, yeh fija, yeh najare
Taras rahe hain tumhari ik najar ke liye
Najar chura ke har ek shai ko yu naa thukrao
Koyi sharike safar dhundh lo safar ke liye
Bahut karib se maine tumhe pukara hai
Jiyo toh aise jiyo