Kal Ke Sapane Aaj Bhee Aana Lyrics

Posted by & filed under , , , .


Song: Kal Ke Sapane Aaj Bhee Aana
Movie: Aadmi (1968)
Singer(s): Lata Mangeshkar
Music By: Naushad
Lyricist(s): Shakeel Badayuni

Kal ke sapane aaj bhee aana – (2)
Pritam ko bhee saath mein laana – (2)
Kal ke sapane aaj bhee aana

Aaj bhee din hai madhur suhaana
Baaj rahee hai mann kee baasuriya
Nainon ke tat pe prem ke rath pe
Laut ke abb toh aa jaa saawariya
Mai bhee sunaau, dil kaa taraana – (2)
Kal ke sapane aaj bhee aana

Jhumate baadal, gaate jharane
Aaj kisee ko dhundh rahe hai
Mai toh yeh jaanu saare najaare
Sajanaa tujhiko dhundh rahe hai
Aaj mujhe bhee daras dikhaana – (2)
Kal ke sapane aaj bhee aana

Meree nagariya aa mere rasiya
Dagar dagar mai aakhiya bichhau
Dil mein bithake nain milake
Janam janam kee pyaas bujhau
Tohe sikhau prit nibhana – (2)
Kal ke sapane aaj bhee aana
Pritam ko bhee saath mein laana
Kal ke sapane aaj bhee aana