Khudaya Khair (Reprise) Lyrics

Posted by & filed under , , .

Singer: Abhijeet
Movie / Album: Billu Barber (2009)
Actor: Shahrukh Khan

rato rat tara koi chand ya sitara koi
gire to utha lena o suniyo re
tara chamkila hoga chand sharmila hoga
nath me laga lena
rato rat tara koi chand ya sitara koi
gire to utha lena o suniyo re
tara chamkila hoga chand sharmila hoga
nath me laga lena

jara si sawari hai wo jara si bawri hai wo
wo surme ki tarah meri aankho me hi rahti hai
subah ke khwab se udai hai palko ke niche chupai hai
mano na mano tum
sote sote khwabo me bhi khwab dikhati hai
mano na mano tum
pari hai wo pari ki kahaniya sunnati hai
khudaya khair khudaya khair
khudaya khair khudaya khair
rato rat tara koi chand ya sitara koi
gire to utha lena o suniyo re
tara chamkila hoga chand sharmila hoga
nath me laga lena

tu hawa mai jami tu jaha mai wahi
jab ude mujhe leke kyu udti nahi
tu ghata mai jami tu kahi mai kahi
kyu kabhi mujhe leke barasti nahi
jara si sawari hai wo jara si bawri hai wo
wo surme ki tarah meri aankho me hi rahti hai
subah ke khwab se udai hai palko ke niche chupai hai
mano na mano tum
sote sote khwabo me bhi khwab dikhati hai
mano na mano tum
pari hai wo pari ki kahaniya sunnati hai
khudaya khair khudaya khair
khudaya khair khudaya khair

jab dant me ungli dabaye ya ungli pe lat liptaye
badal ye nichudta jaye ho ho ho
kuch karke wo bat ko tale
jab mathe pe wo bal dale
ambar ye sikudata jaye ho ho ho
wo jab nakhun kutarti hai to chanda ghatne lagta hai
wo pani par kadam rakhe sagar bhi hat jata hai
subah ke khwab se udai haipalko ke niche chupai hai