Kisi Haseen Yaar Ki Talash Hai Lyrics

Posted by & filed under , , , , , .

Album name:-Nishchaiy (1992)
Singer :Kavita Krishnamurthy, Amit Kumar
Actor:- Salman Khan, Karishma Kapoor
Lyricist:-Qamar Jalalabadi
Music By:-O P Nayyar

kisi hasin yaar ki talash hai
yahi to din hai pyar ke bahar ke
ke mujhko mere pyar ki talash hai
kisi hasin yaar ki talash hai
yahi to din hai pyar ke bahar ke
ke mujhko mere pyar ki talash hai
kisi hasin yaar ki talash hai

kahin to aisa dil mile khuda kare
ke mere dard-e-dil ki jo dava kare
chahaton ka haq wo yun ada kare
umar bhar ka saath de wafa kare
aisa dilruba mile to pyar ho
nazar nazar karar ki talash hai
yahi to din hai pyar ke bahar ke
ke mujhko mere pyar ki talash hai
kisi hasin yaar ki talash hai

zindagi ko jo meri sawar de
jawan jawan shabab ki bahar de
yaar mera aisa ho ke pyar de
jo mai chahun mujhko bar bar de

nigah me tere kahin samayega
chand ban ke jo zamin pe aayega
labon ki pyas lab se jo bujhayega
kya bataun kaisa lutf payega
aise dil ruba mile to pyar ho
nazar nazar karar ki talash hai
yahi to din hai pyar ke bahar ke
ke mujhko mere pyar ki talash hai
kisi hasin yaar ki talash hai
yahi to din hai pyar ke bahar ke
ke mujhko mere pyar ki talash hai
kisi hasin yaar ki talash hai