Kisko Kahe Hum Apna, Logo Ka Wo Khudaara Lyrics

Posted by & filed under , , , , , , .

Album name:-Zamaana (1985)
Singer:-Mohammed Aziz
Actor:-Rajesh Khanna, Poonam Dhillon, Rishi Kapoor
Lyricist:-Majrooh Sultanpuri
Music By:-Usha Khanna

kisko kahe ham apna logo ka wo khudara
kisko kahe ham apna logo ka wo khudara
dusman se bad kar nikla jo yar tha hamara jo yar tha hamara

chahe jo hamko lute aise to ham nahi the
dusman bhi jante hai ham kam nahi kisi se

par kya kare ke usne apna bana ke mara
dusman se bad kar nikla jo yar tha hamara jo yar tha hamara

ik or bhi hai jisne khakar wafa ki kasme
jalim ne tod dali sab dosti ki rasme

nada hai ham jo samjhe apna use dobara
dusman se bad kar nikla jo yar tha hamara jo yar tha hamara

hamko kasam hai ab jo uski gali me jaye
toba hai us taraf jo ham ankh bhi uthaye
tum dekho ya na dekho ye dikhati yar tumko
dikhlayenge tamasa ab ham bhi yar tumko
khul kar karo meri jaa karti ho kya isara