Koyi Gaata Main So Jaata Lyrics

Posted by & filed under , .


Song: Koyi Gaata Main So Jaata
Movie: Alaap
Singer(s): Yesudas
Music By: Jaidev Verma
Lyricist(s): Harivansh Rai Bachchan

Koyi gaata, main so jaata – 2

Sansriti ke vistrit saagar mein, sapanon ki nauka ke andar
Dukh sukh ki laharon mein uth gir, bahata jaata main so jaata

Aankho mein lekar pyaar amar, aashish hatheli mein bharkar
Koyi mera sar godi mein rakh sahalaata, main so jaata

Mere jeevan ka kaaraajal, mere jeevan ka haalaahal
Koyi apane swar mein madumay kar doharaata, main so jaata

Koyi gaata, main so jaata
In Hindi
Koyi Gaata Main So Jaata Lyrics in Hindi