Main Soya Akhiyaan Neeche Lyrics

Posted by & filed under .

Main soya akhiyaan neeche
Teri zulfon ke neeche
Duniya ko bhool diwani
Ab raha zamana peeche
Main soya akhiyaan neeche

Yeh kaun haseen sharmaya
Taaron ko paseena aaya
Fir niki aankhen lekar
Dil kaun churane aaya
Dil kaun churane aaya

Main soyi akhiyaan neeche
Teri baahon ke neeche
Ab chahe kabhi le ja
Tu aage aur mein peeche
Main soya akhiyaan neeche

Yeh mere nain karare
Teri akhiyon dekh ke haarein
Oh janam janam ke saath
Meri maang mein bhar de taarein
Meri maang mein bhar de taarein

Main soya akhiyaan neeche
Teri zulfon ke neeche
Duniya ko bhool diwani
Ab raha zamana peeche
Main soya akhiyaan neeche