Mauj Kaamosh Hai, Jaake Laage Nainaa Wo Paaye Nahin Chainaa Lyrics

Posted by & filed under , , , .

Album name :-Shama Parwana (1954)
Singer :- Asha Bhosle, Suraiya
Actor:-Shammi Kapoor, Suraiya
Lyricist :- Majrooh Sultanpuri
Music :-Husnlal Bhagatram

mauj khaamosh hai behta hua dhara thehra
subah se shaam huyi dil na hamara thehra

o jaake laage naina wo paaye nahi chaina
nadiya kinare wo guzaare din-raina
o jaake laage naina wo paaye nahi chaina
nadiya kinare wo guzaare din-raina
saans jo aaye dil ko dukhaaye
koyi aise jine ko kaha se jigar laaye
o jaake laage naina wo paaye nahi chaina
nadiya kinare wo guzaare din-raina

gin-gin lahare bitaaye din-ratiya
gin-gin lahare bitaaye din-ratiya
jaise-jaise nadi bahe waise bahe ankhiya
jaise-jaise nadi bahe waise bahe ankhiya
aas jo aaye tufaan uthaaye
koyi aise jine ko kaha se jigar laaye
o jaake laage naina wo paaye nahi chaina
nadiya kinare wo guzaare din-raina

piya se milan ko kinare khade tarse
piya se milan ko kinare khade tarse
kachhu na bataaye gori duniya ke dar se
kachhu na bataaye gori duniya ke dar se
aankh jhukaaye dard chhupaaye
koyi aise jine ko kaha se jigar laaye
o jaake laage naina wo paaye nahi chaina
nadiya kinare wo guzaare din-raina
o jaake laage naina wo paaye nahi chaina
nadiya kinare wo guzaare din-raina