Mehbooba Meri Roothi Jaaye Are Yara Mere Lyrics

Posted by & filed under , , , , .

Album name:-Woh Koi Aur Hoga (1967)
Singer:-Mohammed Rafi
Actor:-Mumtaz, Feroz Khan
Lyricist:-Asad Bhopali
Music By:-Usha Khanna

mehbuba mehbuba mehbuba meri ruthi jaye
mehbuba mehbuba mehbuba meri ruthi jaye
are yaar mere dekho kaise ruth ke chala
are yaar mere dekho kaise ruth ke chala
aur dil ka karva bhi mera lut ke chala
ilahi meri tauba tauba ilahi meri tauba tauba
are yaar mera dekho kaise ruth ke chala
aur dil ka karva bhi mera lut ke chala

uff ye machalna titli banke aise chamakna bijli banke
ye aalam bhi kitna hasi hai aachal ka bhi hosh nahi hai
are kaun kahe jalim se jamana hai bura
ilahi meri tauba tauba ilahi meri tauba tauba
are yaar mera dekho kaise ruth ke chala
aur dil ka karva bhi mera lut ke chala

pyar pe gussa aaya aisa ho gaya chehra shole jaisa
ek jara si baat badhi hai or kayamat tut padi hai
are dunia walo dekho ye tamasha hai naya
ilahi meri tauba tauba ilahi meri tauba tauba
are yar mera dekho kaise ruth ek chala
aur dil ka karva bhi mera lut ke chala

hath jo pakdu hath chudaye baat karu to aankhe dikhaye
dur hate wo paas to jau koi bataye kaise manau
are jitna bhi manaya utna ruthna gaya
ilahi meri tauba tauba ilahi meri tauba tauba
are yaar mera dekho kaise ruth ke chala
are dil ka karva bhi mera lut ke chala
ilahi meri tauba tauba ilahi meri tauba tauba
are yaar mera dekho kaise ruth ke chala
are dil ka karva bhi mera lut ke chala