Mere Bechain Dil Ko Chain Tune Diya Lyrics

Posted by & filed under , , , .


Song: Mere Bechain Dil Ko Chain Tune Diya
Movie: Aamne Saamne (1967)
Singer(s): Mohammad Rafi
Music By: Kalyanji-Anandji
Lyricist(s): Anand Baksh

O (mere bechain dil ko chain tune diya -2)
Shukriya shukriya, o shukriya shukriya
O (tera ehsaan jo pyaar tune kiya -2)
Shukriya shukriya, o shukriya shukriya

Kabhi khaabon mein maine aa aake, teri nind churaayi raaton mein
Kabhi uljhaaya kabhi suljhaaya, (teri julfon ko mulaakaaton mein -2)
Ho (meri gustaakhiyon ko tune maaf liya -2)
Shukriya shukriya, o shukriya shukriya

Har waqt samaayi rehati thi, maayusi meri nigaahon mein
Main bhatak jaata, main behek jaata, (gir jaata main inn raahon mein -2)
O (mere saathi mujhe tune thaam liya – 2)
Shukriya shukriya, o shukriya shukriya

Maujon ne teri hi baatein ki, taaron ne tera hi naam liya
Jab gulshan se huwa tera gujar, (phulon ne bhi daaman thaam liya -2)
O tune jaanejahaan dil mujhako diya – (2)
Shukriya shukriya, o shukriya shukriya
O (mere bechain dil ko chain tune diya -2)
Shukriya shukriya, o shukriya shukriya