Film: Annadata (1972)
Raaton ke saye ghane
Jab bojh dil par bane
Na to jale baati, na ho koi saathi
Na to jale baati, na ho koi saathi
Phir bhi na dar agar bujhe diye
Seher to hai tere liye
Raaton ke saye ghane
Jab bojh dil par bane
Na to jale baati, na ho koi saathi
Na to jale baati, na ho koi saathi
Phir bhi na dar agar bujhe diye
Seher to hai tere liye
Jab bhi mujhe kabhi koi jo ghum ghere
Lagta hai honge nahi sapne yeh pure mere
Jab bhi mujhe kabhi koi jo ghum ghere
Lagta hai honge nahi sapne yeh pure mere
Kehta hai dil mujhko
Mana hain ghum tujhko
Phir bhi na dar agar bujhe diye
Seher to hai tere liye
Jab na chaman khile mera baharon mein
Jab doobne main lagoon raaton ke majdharon mein
Jab na chaman khile mera baharon mein
Jab doobne main lagoon raaton ke majdharon mein
Maayus mann dole
Par yeh gagan bole
Phir bhi na dar agar bujhe diye
Seher to hai tere liye
Jab zindagi kisi tarah behelati nahi
Khamoshiyon se bhari jab raat dhalti nahin
Jab zindagi kisi tarah behelati nahi
Khamoshiyon se bhari jab raat dhalti nahin
Tab muskuraaun main
Yeh geet gaaoon main
Phir bhi na dar agar bujhe diye
Seher to hai tere liye
Raaton ke saye ghane
Jab bojh dil par bane
Na to jalen baati na ho koi saathi
Na to jalen baati na ho koi saathi
Phir bhi na dar agar bujhe diye
Seher to hai tere liye