Ram Ho Kya Tum Patthar Ko Chukar Pavan Jisne Kiya Lyrics

Posted by & filed under , , , , , , .

Album name:-Naya Kadam (1984)
Singer:-S P Balasubramaniam, Asha Bhosle
Actor:-Jaya Prada, Rajesh Khanna
Lyricist:-Indeevar
Music By:-Bappi Lahiri

ram ho kya tum pathar ko chhukar pawan jisne kiya
pawan jisne kiya
shankar ho kya ganga ko jisne sar par utha liya
sar par utha liya
na mai ram hu na mai shankar mai hu sathi tere, jiwansathi tera

daag bhara tha aanchal mera tumne phir bhi apnaya
phul ki kya galti jo kisi ne dhul me use milaya
dosh nahi mera koi jag wale kya manenge
jag wale to sita ki bhi agni pariksha lenge
wo thi kahani ye sach hai sach ko swikar kiya
sach ko swikar kiya
ram ho kya tum pathar ko chhukar pawan jisne kiya
pawan jisne kiya

maine andhere hi dekhe the roshni tune dikhayi
ghar me kadam rakha to laga jaise mandir me aayi
karte hain man me ujala jo gine jate hai wo devo me
tumhi to ho wo mere devta dedo jagah apne charono me
teri jagah mere man mandir me aarti ka tum diya
aarti ka tum diya
ram ho kya tum pathar ko chhukar pawan jisne kiya
pawan jisne kiya
shankar ho kya ganga ko jisne sar par utha liya
sar par utha liya
na mai ram hu na mai shankar mai hu sathi tere, jiwansathi tera