Rulakar Chal Diye Ik Din Lyrics

Posted by & filed under , , .


Song: Rulakar Chal Diye Ik Din
Movie: Baadshah
Singer(s): Hemant Kumar
Music By: Shankar-Jaikishan
Lyricist(s): Shailendra

Rulakar chal diye ik din hansi bankar jo aaye the
Chaman ro ro ke kehta hai, kabhi gul muskuraye the

Agar dil ki juban hoti toh gam kuchh kam toh ho jata
Udhar woh chup, idhar sine me ham tufan chhupaye the
Chaman ro ro ke kehta hai……….

Yeh achcha tha naa ham kehte kisi se dastan apni
Samajh paye naa jab apne, paraye toh paraye the
Rulakar chal diye……..