Sunau Kya Mai Gam Apna Lyrics

Posted by & filed under , , .


Song: Sunau Kya Mai Gam Apna
Movie: Andaz – 1949
Singer(s): Mukesh
Music By: Naushad Ali
Lyricist(s): Majrooh Sultanpuri

Sunau kya mai gam apna zuban tak la nahi sakta
Jo gana chahta hai dil wohi mai ga nahi sakta
Wohi mai ga nahi sakta
Sunau kya

Mile hai gair se hans kar wo mere samne haye
Wo mere samne haye
Lagi hai thes wo dil par ke mai batla nahi sakta
Ki mai batla nahi sakataa

Sunau kya mai gam apna zuban tak la nahi sakta
Sunau kya

Meri hasrat bhari nazro ko ab tak jo nahi samjha
Use mai dard e dil apna kabhi samjha nahi sakta
Kabhi samjha nahi sakta

Sunau kya mai gam apna zuban tak la nahi sakta
Sunau kya

Siwa tere bahut hai husn wale bhi zamane me
Husn wale bhi zamane me
Magar mushkil ye hai ab dil kisi par aa nahi sakta
Kisi par aa nahi sakta

Sunau kya mai gam apna zuban tak la nahi sakta
Sunau kya