Teri duniya se
ho ke majboor chala
main bahut door
bahut door
bahut door chala
teri duniya se
Iss kadar door se phir
laut ke bhi aa na sakoon
aisi manzil ke jahaan
khud ko bhi main pa na sakoon
aur majboori hai kya
aur majboori hai kya
itna bhi batla na sakoon
teri duniya se
ho ke majboor chala
main bahut door
bahut door
bahut door chala
teri duniya se
aankh bhar aayi agar
ashqon ko main pee loonga
aah nikli jo kabhi
honthon ko main see loonga
tujhse waada hai kiya
tujhse waada hai kiya
is liye main jee loonga
teri duniya se
ho ke majboor chala
main bahut door
bahut door
bahut door chala
teri duniya se
khush rahe tu hai jahaan
le ja duayen meri
teri raahon se juda
ho gayi raahe meri
kuch nahi saath mere
kuch nahi saath mere
bas hai khataayen meri
teri duniya se
ho ke majboor chala
main bahut door
bahut door
bahut door chala
teri duniya se