Waada Raha Waada Raha Lyrics

Posted by & filed under .

Singer: Shreya Ghoshal, Arnab Chakraborty
Movie / Album: Khakee (2004)
Actor: Akshay Kumar, Aishwarya Rai

wada raha wada raha wada raha
wada raha pyaar se pyaar ka
ab hum naa honge judaa
wada raha pyaar se pyaar ka
ab hum naa honge judaa

yeh meri dhadkane sun raha hai khuda
chahe tumhe kis kadar mera dil
tumko nahi hai pata
yeh meri dhadkane sun raha hai khuda
wada raha

dono jahan ko bhoola hu main
aisi lagi hai tujhse lagan
chahe kahu ise awaargi
chahe kahu ise deewanapan

dil ne kaha dil ne suna
maine tumhe dilbar chuna
ab duriyan naa rahi darmiyan
kya rang layi wafa

yeh meri dhadkane sun raha hai khuda
wada raha pyaar se pyaar ka
ab hum naa honge judaa
yeh meri dhadkane sun raha hai khuda

dekha tumhe to aisa laga
mujhko mila hai manzil ka pata
chalna hai humko ab saath mein
tumse juda mera raasta

maine to lee hai yeh kasam
paau tumhe janamo janam
sajde kiye maine shaam-o-saher
maanga hai tumko sada

yeh meri dhadkane sun raha hai khuda
wada raha pyaar se pyaar ka
ab hum naa honge judaa
yeh meri dhadkane sun raha hai khuda

wada raha yeh wada raha
pyaar se pyaar ka pyaar se pyaar ka
wada raha yeh wada raha
pyaar se pyaar ka

wada raha yeh wada raha
pyaar se
wada raha yeh wada raha