Yahi Hai Tamanna Tere Dar Ke Samane Lyrics

Posted by & filed under , , .


Song: Yahi Hai Tamanna Tere Dar Ke Samane
Movie: Aap Ki Parchhaiyan
Singer(s): Mohammad Rafi
Music By: Madan Mohan
Lyricist(s): Raja Mehdi Ali Kha

Yahi hai tamanna tere dar ke samane, (meri jan jaaye – 2)
Hay yahi hai tamanna

Tere dar pe aaya toh bas aa gaya main
Na pichhe hatunga jamane ke darse
Jara dekh lu main yeh ruk ke bahare
Yeh kad pyara-pyara yeh julfon ke saaye
Hay yahi hai tamanna

Gila hai mujhko tere kuda se
Hasin jisne itana banaya hai tujhko
Na aata kabhi teri galiyo mein jaalim
Tere husn ne khud bulaya hai mujhko
Jalakar koi shamma kaise kahega
Ke dekho yaha par na parawana aaye
Hay yahi hai tamanna

Mohabbat mein teri agar maut aaye
Toh woh maut kitani hasin maut hogi
Kisi roz main tera daaman pakadakar
Jo mar jau kyaa dilanashin maut hogi
Kabhi aisi koi ghadi aa rahi ho
Toh meri dua hai woh jaldi se aaye
Hay yahi hai tamanna