Yeh Chaman Hamara Apna Hai Lyrics

Posted by & filed under , , .


Song: Yeh Chaman Hamara Apna Hai
Movie: Ab Dilli Door Nahin
Singer(s): Geeta Dutt, Asha Bhosle
Music By: N Dutta

Yeh chaman hamara apna hai, (iss desh pe apna raj hai – 2)
Mat kaho ke sar pe topi hai, (kaho sar pe hamare taj hai – 2)
Yeh chaman hamara apna hai………..

Aati thi ek diwali aa aa aa…
Aati thi ek diwali, barso men kabhi khushhali
Abb toh har ek var ek tyauhar hai
Yeh ubharta sanwarta samaj hai
Yeh chaman hamara apna hai………..

Aa aa aa aa………
Yeh jan se pyari dharti aa aa aa…..
Yeh jan se pyari dharti, dooniya kee dulari dharti
O yeh aman ka diya aandhiyo men jala
Sari dooniya ko iss pe naj hai
Yeh chaman hamara apna hai………..

Ho dekh lo (kahi gam na rahe – 4)
O roshani (kahi gam na rahe – 4)
Sare sansar kee aankh ham pe lagi
Apane hatho men apani laj hai
Yeh chaman hamara apna hai, iss desh pe apna raj hai