Zindagi Khawab Hai, Khvaab Me Jhuth Kya Aur Bhala Sach Hai Kya Lyrics

Posted by & filed under , , , , .

name:-Jagte Raho (1956)
singer:-Mukesh
Actor:-Raj Kapoor, Motilal
Lyricist:-Shailendra
Music By:-Salil Chowdhury

rangi ko naarangi kahe, bane dudh ko khoya
chalti ko gaadi kahe, dekh kabira roya

zindagi khwaab hai, khwaab me jhuth kya
aur bhala sach hai kya
zindagi khwaab hai, khwaab me jhuth kya
aur bhala sach hai kya, sab sach hai
zindagi khwaab hai

dil ne hamse jo kaha, hamne vaisa hi kiya
dil ne hamse jo kaha, hamne vaisa hi kiya
fir kabhi fursat se sochege bura tha ya bhala
zindagi khwaab hai, khwaab me jhuth kya
aur bhala sach hai kya
zindagi khwaab hai

ek katra may ka jab, patthar ke hotho par pada
ek katra may ka jab, patthar ke hotho par pada
uske sine me bhi dil dhadka ye usne bhi kaha, kya
zindagi khwaab hai, khwaab me jhuth kya
aur bhala sach hai kya
zindagi khwaab hai

ek pyaali bhar ke maine, gam ke maare dil ko di
ek pyaali bhar ke maine, gam ke maare dil ko di
zahar ne maara zahar ko, murde me phir jaan aa gai
zindagi khwaab hai, khwaab me jhuth kya
aur bhala sach hai kya
zindagi khwaab hai, khwaab me jhuth kya
aur bhala sach hai kya, sab sach hai