Zindagi Mauj Udane Kaa Nam Hai Lyrics

Posted by & filed under , , , .


Song: Zindagi Mauj Udane Kaa Nam Hai
Movie: Avtaar
Singer(s): Alka Yagnik, Mahendra Kapoor, Suresh Wadkar
Music By: Laxmikant-Pyarelal
Lyricist(s): Anand Bakshi

Tara ram.. too ru ru……..
Jindgi mauj udane kaa nam hai
Jindgi yaro kee jawani kaa jam hai
Jam hai, payam hai, jindgi tara ram, tara ram
Too ru ru…..

Jindgi mauj udane kaa nam hai
Jindgi yaro kee jawani kaa jam hai
Jam hai, payam hai, jindgi
Nahee nahee yeh jindgi toh mehnato kaa nam hai – (2)
Waqt hai bahut hee kam aur bada kam hai – (2)
Jindgi

Ho jitne khushiyo ke sapne hain, yaro woh sare apne hain – (2)
Gham toh kisi begane kaa nam hain, jam hai, payam hai, jindgi
Kaisa yeh riwaj hai dooniya ke saraye me – (2)
Ped jala dhup me log baithe saye me – (2)
Jindgi

Haq pyar kaa aaj ada kar du, tujhpe jan fida kar du – (2)
Jina yu hee mar janey kaa nam hain
Jam hai, payam hai, jindgi
Marta hain admi sau bar janam leta hain – (2)
Himmat kee kokh se avtar janam leta hain – (2)
Jindgi