Album name:-Yalgaar (1992)
Singer: Suresh Wadkar, Nitin Mukesh, Mohammed Aziz
Actor:-Manisha Koirala
Lyricist:-Sudarshan Faakir
Music By:-Channi Singh
su: baar-e-duniyaa mein raho shaad ke, naashaad raho
aise kuchh karke chalo, karke chalo yaa ke
bahut yaad raho, yaad raho, yaad raho
ni: hai dil mein lagan, ey mere vatan -2
ye jaan nichhaavar karne ki
a: hai dil mein lagan, ey mere vatan
ye jaan nichhaavar karne ki
ni: kyaa baat hai aise jeene ki -2
a: kyaa shaan hai aise marne ki
a, ni: hai dil mein lagan, ey mere vatan
ye jaan nichhaavar karne ki
ni: hai maut se rishtaa jeevan kaa
paidaa jo huaa vo martaa hai
a: is janam-janam ke saathi se
naadaan hai vo jo dartaa hai
ni: veeron ne reet nibhaai hai -2
marne se mohabbat karne ki
a: kyaa baat hai aise jeene ki -2
ni: kyaa shaan hai aise marne ki
a, ni: hai dil mein lagan, ey mere vatan
ye jaan nichhaavar karne ki
a: ye zaalim daakoo hatyaare
desh aur insaan ke dushman hai
ni: vah vaar karenge ham inpar
ye dharm-imaan ke dushman hai
a: khaate hain qasam, is desh mein ham -2
ik jashn-e-bahaaraan karne ki
ni: kyaa baat hai aise jeene ki -2
a: kyaa shaan hai aise marne ki
a, ni: hai dil mein lagan, ey mere vatan
ye jaan nichhaavar karne ki
a: ye rut hai pyaar mohabbat ki
har mod pe husn ke jalve hain
ni: mitti mein mahak hai phoolon ki
zarron mein chaand sitaare hain
a: armaan hai pyaar mein jeene kaa -2
hasrat hai husn pe marne ki
ni: kyaa baat hai aise jeene ki -2
a: kyaa shaan hai aise marne ki
a, ni: hai dil mein lagan, ey mere vatan
ye jaan nichhaavar karne ki