Hum Tere Sitam Ka Kabhi Shikva Na Karege, Mar Jayege Par Ishq Ko Rushva Na Karege Lyrics

Posted by & filed under , , .

Album name :-Naqab (1955)
Singer :- Lata Mangeshkar
Lyricist :-Prem Dhawan
Music :-Govind Ram

hum tere sitam ka kabhi sikwa na karenge
hum tere sitam ka kabhi sikwa na karenge
mar jayenge par ishk ko ruswa na karenge
mar jayenge par ishk ko ruswa na karenge

jitni wafa nibh saki hum to nibha chale
jitni wafa nibh saki hum to nibha chale
tum khush raho sada yahi karte dua chale
ab tujhse koi or tamanna na karenge
mar jayenge par ishk ko ruswa na karenge

hone ko hai hamari aaj jindagi ki sham
hone ko hai hamari aaj jindagi ki sham
ham to chale jahan se lo aakhiri salam
lo aakhiri salam
hum badnasib ab tujhe dekha na karenge
mar jayenge par ishk ko ruswa na karenge
hum tere sitam ka kabhi sikwa na karenge
mar jayenge par ishk ko ruswa na karenge

lyrics typed by : hanshu malik