Mat Kar Itna Garur Surat Pe Lyrics

Posted by & filed under , .


Song: Mat Kar Itna Garur Surat Pe
Movie: Aadmi Khilona Hain
Singer(s): Alka Yagnik, Pankaj Udhas

Mat kar itna garur surat pe ai haseena – 2
Teri surat pe nahin hum toh teri saadagi pe marte hain – 2

Dilbar nazrein milaake humko yuun dekh na – 2
Hum to aise deewaano ki deewaanagi se darte hain – 2

Kyun hamaara picha karta hai, bin tere dil aahein bharta hai
Kyun fida hai khilte rango pe, naaz na kar gore ango pe
Hogi na teri meri dosti, achchi nahi is kadar berukhi – 2
Ho o o o o……….
Dilbar nazrein milaake humko yuun dekh na – 2
Hum to aise deewaano ki deewaanagi se darte hain – 2

Din hai tera teri raate hain, yeh deewaanepan ki baatein hain
Tu hamaare khaabo mein aaye, tu kahi paagal na ho jaaye
Ulfat hamaari tere naam hai, humko mohbbat se kya kaam hai – 2
Ho o o o o……….
Mat kar itna garur surat pe ai haseena – 2
Teri surat pe nahin hum toh teri saadagi pe marte hain – 2

Husn to do din mein dhal jaaye, kyun hamein baaton mein uljhaaye
Ishq hai sadiyon ka afsaana, tu humein lagta hai parwaana
Jaadu sanam tujh pe chal jaayega
Agar paas aaya to jal jayega.
Agar paas aaya to jal jayega.
Bolo kuch to bolo.
Ho o o o o……….
Dilbar nazrein milaake humko yuun dekh na – 2
Hum to aise deewaano ki deewaanagi se darte hain – 2